Tuesday, August 22, 2006

KUCH SHER-O-SHAYRI

KUCH SHER-O-SHAYRI

1. Zamane se beaabroo ho kar hamne badnamiyon se nikah kiya,

Yun dile nadaan ne phir begam ki tarah har roz ruh se takraar kiya.


2. Na gila koi na sikwa hai ai khuda,

Gali mein aake tere bhi insaaf na mila,

Main garib to ghar ka raasta bhula,

Shayad tu andar baitha garibon ko bhula.


3. Bahut sajon sajon kar hamne gam batore,

Kaphir dil ne jara si karwat kya li,

In askon ne bhi apni kimat na jani,

Yun fizul mein itna nuksaan kara diya.


4. Yaadon ko hamne lakh jatan karke yun zehan mein yun kaid kiya,

Phir wirane mein khade khade apne bewafa dil par hukum chalaya,

Kya kahein, bas kamwakht aakhon ne dokha diya jo askon yun aazad kiya,

Akele to ab bhi hain bas khamo-kha hamare daman ko gila kiya.