Sunday, December 18, 2005

meri awaz....HINDI

amawas ki thi wo raat,
aaj bhi yaad hai hamein,
chaand bhi kahi khoya tha,
chuppi si chyi thi har taraf,

har bar pukara tumko,
tum sun na sake phir bhi hamko,
kitni guhar lagayi maine,
tere rooothe man ko manane ko,

lot aa lot aa lot aa,
kahta raha main pagal,
yun phaili rahi meri baahein,
tere intzaar ke pal mein,

main tab bhi sisakta raha,
us biarah ki raat mein,
tadaapta chod gaye tum mujhe,
zane kon se manzil thi tumhari,

tujhe aagosh mein lene ko,
tujhe pyar karne ko
main aaj bhi pagal hoon,
har hasrat meri tummein hai,

patjadh ke mausam mein,
sukhe pataoon ki tarah,
bikhar gaya pyar hamara,
udti hui toofano mein,

kadar na ki zazbatoon ki,
zamane mein tum mashur hue,
hum har pal zamane se door hua,
band aakhon se tujhe pyar karta hua,

barsat ne bhi aaj dokha diya,
rokar khud ko bighoya hamne,
kyun sun na sake tum,
mere siskate dil ki awaz...

No comments: