Tuesday, July 04, 2006

Phir wapas

phir wapas unhi rahon par
yun mud chale hain kadam,

lakh dokhe khaye the,
nakamiyon ke sehre bandhe the,

phir bhi yun wapas unhi rahon par,
yun khud ko chalte paya hamne,

Tokaron se tuta tha dil,
armanon ke aason bhi bahe the,

yun bikhra tha zahan mera,
inhi kali zehrili rahon mein,

phir bhi teri muskurahat dikhi hai,
yun saat raangon mein khili khili,

yun surat teri nazar aai hai,
chand ki tarah bholi si,

bas phir bahakta hoon main,
in kaaton bhari rahon mein,

lakh zatan kar le duniya,
manzil meri to tum hi ho,

phir dard ki parwaah kise,
deewane ki dawa bhi tum ho,

tujhe paane ki chaah mein,
hazzar raahon mein koshish meri ek hai.

No comments: