Milon door itne aa gaye
saqii na sathi sath mere
Kuch yaad aap is kadar aaye
Aah meri goonji thi jehan mein
jabki malooom hai ye humko
yaadein aapki shamil hai mujhme
wirane mein sans lete hue
Hum sisak siask ke roye
jaise barsa ho koi akela badal
kuch is tarah hum bhi tadpe
Naya hai manzar saamne mere
par khud ko yun majboor pata hoon.
har kadam jo aage rakhta hoon
sochta hoon kuch choot gaya piche mere
ek dor dil ko kasak deti hai yun,
chupa sa jo hai naqaab mein kahin
afsana mera kali syahi hai.
yun dile azaab utara hai yahan.
shayad aap samjhe ek din lafzon ko,
jo bolti hai yahan ki likhawat mein.
Subscribe to:
Post Comments (Atom)
1 comment:
i m guessing u wrote this beautiful poem. nice!!
Post a Comment