Saturday, April 22, 2006

Bas Tu

Phir nazar wo aayin hamein,
Phir sham jhumi lahra ke,

Yun jhukti nigahein unki yaaron,
Zadoo sa cha gaya mujh par yaaron,

Madhosh to ham the ek zamane se,
Mazboor aaj ho rahe hain khud se,

Kya kahoon kho gaya hoon,
unki yaadein aur wo baatein,

Phir chu gayi lahre kinarein,
Bechain baahein unko bharne ko,

Doondhta main bhi har wo nazare,
Khusboo teri chayi ho jinme,

Nazar aa rahi roshni mein bas tu,
Andheron mein sitaron ki rani ho tum,

Tassuvur mein bahak rahe hain hum,
Khile sapnon ki baarat saza rahe hain hum,

Saasein tham si rahi hain hamari,
Wo jhukti nigahein unki yaaron,

No comments: