khare hain aaj bhi usi mod par,
jahan tum chod gaye the hame,
rahein kai nazar aati hai hame,
par kadmon ka bharosa baki nahin,
kya kya ham par guzri hai,
tum kya jano,tum kya mano,
katra katra ji rahe hai ham,
har bar pukara tumko,
tum sun na sake hamko,
hawa bhi sath na deti mera,
aahein to meri tumse takrayi hoti,
har hira phi pathar laga mujhe,
aaonkhon ke lahoo aab bhi thame nahin,
har kinare par ukade kadam hamare,
har sahara door rah gaya hamse,
sirf tumse aas baki hai,
jaan bhi jyada rahi nahin,
dor tere haanthon hai ab bhi,
aasoonoun se band aakhon kho,
tere sath aane ka intzar hai,
Sunday, October 30, 2005
Subscribe to:
Post Comments (Atom)
No comments:
Post a Comment