kis mod par aa gaye ham,
soch kar paresan ho rahe hai hum,
tang aa gaye nakamiyon se,
kassor sayad lakiron ka hai,
upar wala bhi yun muskara raha hai,
aage ki raah talaste hai ham,
andheron mein yun bhatakte hue,
waqt ka ehsaas baki nahin hammein,
udasiyon mein kho rahe hamare pal,
aakhon mein nami cha gayi,
pesani par bunde chalachala aayin,
phir apni kismat par rona aaya,
aahle dil ki kwasish thi,
koi sath mera har pal de,
andheron ki syahi ko mita de,
dundh ki chadar utar de,
dikhe hamein bhi sunhali duph,
raat hamari chandani mein gujre,
bas isi kwasish mein,
har pal doondhata chal raha,
main musafir,
Sunday, October 30, 2005
Subscribe to:
Post Comments (Atom)
No comments:
Post a Comment